Влез Регистрация

Скрий

Забравена парола

Забравена парола? Въведи твоят e-mail адрес и ще ти изпратим link, с който да създадеш нова парола.

Назад

Затвори
Rafi

Rafi

Tu Na Rona

Адреса на видеото във Youtube, Vbox7 или Vimeo

Оригинален текст

Tu na rona, ke tu hai bhagat singh ki maa
Mar ke bhi laal tera marega nahi
Doli chadhke to laate hai dulhan sabhi
Hasake har koi phaansi chadhega nahi

Jalte bhi gaye kehte bhi gaye
Aazaadi ke parwaane
Jeena to usika jeena hai
Jo marna desh par jaane

Jab shaheedon ki doli uthe dhoom se
Deshwalon tum aansu bahana nahi
Par manaao jab aazaad bharat ka din
Us ghadi tum hamein bhool jaana nahi

Aye vatan aye vatan hamko teri kasam
Teri rahon main jaan tak luta jaayenge
Phool kya cheez hai tere kadmon pe ham
Bhent apne saron ki chadha jaayenge
Aye vatan aye vatan

Koi panjaab se, koi maharashtra se
Koi UP se hai, koi bangaal se
Teri pooja ki thaali mein laaye hain ham
Phool har rang ke, aaj har daal se
Naam kuch bhi sahi par lagan ek hai
Jyot se jyot dil ki jaga jaayenge
Aye vatan aye vatan...

Teri jaanib uthi jo kahar ki nazar
Us nazar ko jhuka ke hi dam lenge ham
Teri dharati pe hai jo kadam gair ka
Us kadam ka nishaan tak mita denge ham
Jo bhi deevaar aayegi ab saamane
Thokaron se use ham gira jaayenge

добави Превод

Зареди коментарите

Още текстове от Rafi