Оригинален текст
(Aseer-e-panjaa-e-ahad-e-shabaab kar ke mujhe
Kahaan gaya mera bachapan, kharaab ka ke mujhe
Haan... haan... haan... h... a... a... n)
Huye ham jhinke liye barbaad
Woh hamko chaahe karen na yaad
Jeevan bhar... jeevan bhar unki yaad mein
Ham gaaye jaayenge, ham gaaye jaayenge
Ek zamaana tha woh pal bhar ham se rahe naa door
Ham se rahe naa door
Ek zamaana hai ke huye hai milane se majboor
Milane se majboor
Rahe woh dil ka nagar aabaad
Basi hai jis me kisi ki yaad
Ham dil ko... ham dil ko, un ki yaad se
Bahelaaye jaayenge, gaaye jaayenge
Mein hun aisa deepak jis mein, naa baati naa tel, naa baati naa tel
Bachapan beeta, bani muhobbat chaar dinon kaa khel
Chaar dinon kaa khel
Woh gham se laakh rahe aazaad
Sune na dard bhari fariyaad
Afsaana... afsaana unke pyaar kaa
Ham gaaye jaayenge, gaaye jaayenge
Huye ham jhin ke liye barbaad