Оригинален текст
Tasveer banaata hun teri, khun-e-jigar se
Are, khun-e-jigar se
Dekha hai tujhe mein ne muhobbat ki nazar se
Are, muhobbat ki nazar se
Jitane bhi mile rang, wo sabhi bahr diye tujh men
Haaye, bhar diye tujh men
Ek rang-e-wafa aur hai, laaoon wo kidhar se
Are, laaoon wo kidhar se
Tasveer banaata hun teri...
Saawan teri zulfon se ghata maang ke laaya
Haaye, maange laaya
Bijalee ne churaaee hai tadap teri nazar se
Are, tadap teri nazar se
Tasveer banaata hun teri...
Main dil men bithaa kar tujhe rukhsat na karoonga
Haaye, rukhsat na karoonga
Mushkil hai tera lout ke, jaana mere ghar se
Are, jaana mere ghar se
Tasveer banaata hun teri