Оригинален текст
Naraz tum naraz hum
Kaisay mitay phir duuriyan
Hum Muntazar Tum Bekhabar
Dono ki hein majbooriyan
Naraz tum naraz hum
Kaisay mitay phir duuriyan
Hum Muntazar Tum Bekhabar
Dono ki hein majbooriyan
Ho jaye apna agar kabhi samnaa
Tum meray chehray ko zara ghour se dekhna
Haan ghour se dekhna
Aur phir sochna
Phir sochna
Kya baat thi jis ki saza hum ko wahan tak le gai
Chehro se rung, aankhon se khawab
Sab kuch ura kar lay gayee
Kuch khonay ka gar tumhe ehsaas ho
Beetay dino ke lautnay ki tum ko bhee aas ho
Haan tum ko bhee aas ho
Tou chalay aana
Chalay aaana
Mut sochna, mut poochna
Uthtay qadam mut roakna
Nata humara dil ka tha
Kehna bhi dil ka maanna
Naraz tum naraz hum
Kaisay mitay phir duuriyan
Hum Muntazar Tum Bekhabar
Dono ki hein majbooriyan