Оригинален текст
Kaun samjhega un ka dard bhala
Jin ke dhadkan ne chot khaayi hai
Log kehte hain yahaan ishq jise
Aisa lagta hai bewafaai hai
deewani, deewani
Mujhe laakh samjhaaya
deewani, deewani
Dil ne mere
deewani, deewani
Mujhe laakh samjhaaya dil ne mere
Magar maine dil ki na maani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
Mujhe laakh samjhaaya dil ne mere
Magar maine dil ki na maani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
Main deewana hoon in adaon ka
Maine to pyaar kiya hai tumse
Zindagi hard mein hi chaahoonga
Maine ikraar kiya hai tumse
Main bhi saajan tumhaari chaahat mein
Saari duniya ko bhool jaoongi
Saath seh loongi saare dard aur gham
Dil ki rishte ko main nibhaoongi
deewani, deewani
Bhoolaoongi kaise bhala mere saajan
Mohabbat bhari yeh nishaani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
Deewani main deewani, saajan ki deewani
deewani, deewani, deewani, deewani, deewani
Neend jab tootegi to
Hosh mein aaoongi main
Kaun hai kaisa hai woh
Sab ko batlaoongi main
Saari duniya ke aage
Kissa yeh aam karke
Jaoongi is mehfil se
Usko badnaam karke
Usne dil toda mera
Uska dil tod doongi
Woh na samjhe ke usko aise hi chod doongi
Maine us bewafaa ko pooja hai
Maine to pyaar sirf pyaar kiya
Do jahaan ko bhula ke maine to
Apne dilbar pe jaanesaar kiya
Kabhi sochti hoon
Jo main beeti baatein
Barasta hai aakhon se paani
Deewani main deewani, saajan ki deewani