Оригинален текст
Khush rehane ko zaroori kya hai bolo yaar
khushi to milti hai jab mile kisi ka pyar o hu
is duniya mein bolo kab milta hai pyar
koi kisi ko pehle jab deta hai pyar
khush rehane ko zaroori
jis ne apni khushi ko mitaya
doosaron par sabhi kuch lutaya
pyaar karna us ko hi aaya
sachhi chahat mein to hoti nahi saudebaazi
qurbaani dene ko rehate do dil raazi
qurbaani kehte hain kisko bolo sarkaar
yaar pe jo kar de ye zindagi nisaar
khush rehane ko zaroori
khushi hoti nahi baahar
vo to hoti hai dil ke hi andar
dil to hai pyar ka samundar
ik dooje se kabhi ham ab to khafa na honge
khafa bhale ho jaayen lekin juda na honge
hote hain log juda kyon bolo mere dildaar
log juda hote hain jab kam hota hai pyaar
khush rehane ko zaroori